04/09/2020
Wah taxila k fanciers k liye apne birds ko proper & healthy breeding cinditions mein lane k liye, weather conditions suitable hona start ho rahi hein.
1-Next 30 days, sare birds ko flights me rakhein.
2- First week mein Bragg ya Dittu (Saib k sirka) 20ml....1 lt water mein mix kr k...3 din daily dein....
3- Uske bad, week mein sirf 1 din, 20ml in 1lt water dein.
4- jesa ka monsoon chal raha he, kahin kam, kahin ziada, ya shaed kahin abhi properly start bhi nhi hova...tou behtar he k, birds ko soft food, vegetables, fruits...soaked seeds, pulse...ka usage week mein 2 din se ziada bulkul na krein....subha subha offer krein...aur 1-2 hours k andar bachi hove khoorak bahar, nikal lein.
5- Try krein k har 2 din k bad, cages ki trays ko wash krein....aur daily scrapper se bhi halki si cleaning hoti rahe.
6- 30 days plan mein....birds ki immunity develop kerani he....unki natural moulting bhi kerani he...unko slow slow breeding cindition pe bhi lana he.
7- Monsoon...Allah ki janib se birds k liye, 1 trha ka gift hota he, jiske douran agr birds fit hein tou, automatically moukting ki janib ate hein....jese jese monsoon guzarta he, birds old & weak feathers jhaar k new few feathers late hein....
8- Lekin birds k liye yeh kafi takleef deh stage hota he....moulting ki start se le k final finish tk...birds ko halka fever rehta he....birds extreme stress me hote hein...immunity down hoti he....bhook kam ho jati he.
9- Ab aise waqt mein "SUHANA MOUSAM" asmano pe dekh k, bohat se na daan fanciers, filfour pairing start kr dete hein...ya uske bare mein seriosely souch rahe hote hein
10- 1 point tou sare dost apni diary mein note kr lein k.....monsoon mulk k kisi bhi region, province mein start nhi hova, start ho gaya..ya mid mein he...jb tk 75 to 80% monsoon finish nhi ho jata...pairing bilkul nhi kerni.
11- Agr pairing kr di tou birds k liye yeh
"ZINNA BIL JABR" jesa ho ga....breeding results tou kiya ache mileinge...birds different bemarion ka shikar honge....going light jese la ilaaj bemari k chungle mein ja skte hein
12- Ab in 30 days mein mazeed kiya kerna he...??? Kuch khas nhi kerna.
13- Next 30 days mein sirf 3 JK1 Products...apki aur apke birds ki zindagi ko bohat asaan bna deingi.
14- Kerne wale zaat tou Allah ki he...banda tou Us k age bohat haqeer aur be bas he...lekin apni si poori koshish kr k....Allah se yeh dua zaroor ki ja sakti he k...Ya Allah, mere bas mein, aur mere bugdet mein jou tha, mein ne kr liya, ab Good Results...tere hath me hein.
15- Alhamdolillah pichlay saal ke tarha is saal b ache breed aye ge birds ko flights mein rakhte hove kr liya....tou inshaAllah, 30 days k bad, apke birds 75/80% top breeding condition mein honge...aur Oct k first week se le k 2nd week k darmiyan pair
NOTE: A VERY IMPORTANT POINT SE DOSTON KO BAR BAR IMFORM KERTA AA RAHA HOON K.
POULTRY SE RELATED KOI BHI PRODUCT, CHAHE WOH MULTIVITAMINS HON YA CALCIUM SUPPLENTS...CAGED BIRDS K LIYE DANGEROUS HEIN...SECONDLY, KOI BHI MULTIVITAMINS YA CALCIUM SUPPLEMENTS....CHAHE WOH POULTRY K HON, YA CAGED BIRDS K...PANI MEIN KISI SOORAT NHI DENE....PANI MEIN YEH BIRDS KA PH LEVEL OUT KER DETE HEIN...AUR BIRDS GRADUALLY GOING LIGHT MEIN JANA START KR DETE HEIN
CAGED BIRDS K, MULTIVITAMINS & CALCIUM SUPPLEMENTS, AAP DEKH BHAL K EGG FOOD & SOFT MEIN DE SAKTE HEIN.
HAVE A SUSSCESSFULL & HEALTHY BREEDING SEASON....❤❤❤