04/07/2021
1- Murgion ka darba dhoop k rokh par ho.
2- Murgia surkh qalgi or chamak dar paro wali hun, or seeny ki hadi na nekli ho.
3- Beet wali jaga ghandi ho tu iska matlab hia k murgi ka pat kharb hia, foran medicine de.
4- Hafty main 1 bar lehsan zaroor de.
5- Sar or gardan k par khary na hun. galy se (khar khar) ki awaz ya lagatar munh kholny ka matlab hia k resha ho gya hia or murgi khana bhot kam kar de hi or kamzor ho jaye gi.
5- Kisi b bemari ki sorat main 3 din k andar andar elaaj kar lena chahe, warna bemari lambi ho jaye gi, Resha 1 month se zayada ka ho jaye tu pher elaj na mumkan ho jata hia.
6- Dana pani k bartan zang wale na ho, gili zameen ka matlab hia garaseem ka hona.
7- Bemari 2 waja se ziyada hoti hia (1. sard ya garm hawa ka jhonka 2. nami)
8- Darby main 2 inch ka borada ho ra k murgion ko nechay se dardi na lage or dosra darby se boo na aaye.
9- Borada ya matti jam jaye tu isko khod kr is main jowo wala powder mila de, murgi jabn is main nahaye gi tu jowin khatam ho jaye gi.
10- Keray wali medicine zarorat parne par har 2 month bad deni chahye, lekan hefazti 3 kisam ki medicine har 10 din bad deni cheye, ta k halki c medicine se murgia bemari se mehfooz rahe,or bara masla na bane.
11- Ziyada murgia ho tu Injection lagane ki bajaye pelany wala Teka istamal kary, khun k murgion ko bar bar pakarne se wo anda rok deti hia.
12- 15 din main ail bar halka sa calcium powder de dey ta k kacha anda na de.
13- Murgia kamzor ho tu , gandum ya bajra 5 din k ley zameen main daba de, pher wo nekar kar de.
14- Murgion k qareeb ko esi chez na ho jis se murgiya khofzada ho.
15- Kohre k mosam main murgion ko subha 9 baje k bad bahar nekaly or raat ko thanda pani mat daly warna nazla ho jaye ga.
16- Murgion k darby main 2 se 3 inch moti darakht ki shakh ya moti lakri 3 se 4 feet unchi jaga par fix kar de, ta k murgi opar beth sake. khun k zameen se opar wali jaga garm hoti hia.
17- Darby main raat 11 baje tak bulb zaroor jalay (60 watt ka sada bulb), sakht sardi main 3 no feed k sath machli ki tablet (Haftey main aik bar) istamal kary.
18- Sirf gandum or aata dene se murgi anda dena band kar de gi, khun k feed mian 17 se 18 % protein hote hia isle feed dena zarori hia.
19- Murgion ki khush rakhne or aandy ka colour desi egg ki tarha karny k ley rozana murgio ko grass or sabza daly.
20- 6 murgion k ley aik peti ando k ley rakey.
21- Andy wali jaga zara andhere wali ho or sakoon wali ho.
In chand bato pe aamal kar k aap sehat mand mugia p**l sakte hia or is se ziada se ziada anday hasal kar sakte hia.