Birds medicine pakistan"

Birds medicine pakistan" birds information and medicine related to the birds

08/07/2023
15/12/2021

10/12/2021

Assalam o Alaikum
Sardio me khas tor pe apney birds ki bio security pe deehan den
Aur ventilation k nizaam ko bhi behtar rakhen

AssalamualaikumSardio me birds me 2 tarha k masail bohat hi paye jaatey.No.1. CRD ( chronicles respiratory disease)No.2....
08/12/2021

Assalamualaikum
Sardio me birds me 2 tarha k masail bohat hi paye jaatey.
No.1. CRD ( chronicles respiratory disease)
No.2. IBV. ( infectios bronchitis virus)
CRD. bhi ek saans se related bimari hai aur IB. Bhi ek saans se hi related bimari hai
IBV. Me birds ka uper respiratory tract mutassir hota hai aur saans lene me dushwari hoti hai.
Egg ki production low hojati hai aur quality bhi kharab ho jati hai IBV. Jo hai avian gammacrona virus hai Jo sirf birds me aata hai
Birds ko is me respiratory discharge aur balgham bohat hi ziada hojata hai aur ye virus airborne hai Yani ye bimari Hawa k zarye phelti hai aur bhi bohat sari chezon k zarye bhi phel Sakti hai jese k contaminated water, contaminated equipments, contaminated feed, contaminated kaprey aur wagera wagera k zarye.
Is k bar aqs CRD. Ek bacterial bimari hai.
CRD. Mycoplasma gallisepticum jab mutassir ho to ziada asar Andaz hojati hai.
Is k Jo early sing hai us me birds ka khansna, chenkna aur har waqt dabao me hona aur paron ko phelana aur saans lene me dushwari bhi shamil hai.
Is jesi sing humen aur bhi bimarion me mil jatey hen jese k coryza, IB., infectios laryngotracheitis and fowl cholera.
Ye bhi ek airborne disease hai is ka bhi phelna bilkul hi IBV. Ki tarha hota hai.
In dono bimarion me Jo farq hai Woh ye hai k IBV ek viral disease hai aur is ka ek life cycle Jo k khud khatam hojata hai ek waqt me
Aur is me sath me kuch broad spectrum antibiotics deni hoti hai secondary bacteria k lye aur bronchodilator wagera dena se bhi afaq hota hai aur vaccine k zarye bhi prevent kra ja sakta hai aur vaccine live aur killed dono tarha ki available hai.
Aur CRD Jo hai uski cure sirf antibiotic se hi hogi aur koi life cycle nhi hai aur naa hi koi vaccine hai na bactrine sirf antibiotics aur Cortisone k zarye hi afaqa ho pata hai.
Aur bhi mazeed maloomat k lye aap mjhse raabta kr saktey hen throw mere page ya mere Whatsapp pe 03332884448

08/12/2021

Assalamualaikum friends I am sorry for no response
I was so busy in my shop so that I wasn't able to answer your questions.
Now I am always available for you and I will always give response to your questions
You all are really important for me and thanks to you for supporting me on my page.
InshAllaah I will be always available and be responsible and be dedicated for you InshAllaah

08/12/2021

Address

Shop No D-15 A Yousuf Plaza Karachi
Karachi

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Birds medicine pakistan" posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Birds medicine pakistan":

Videos

Share


Other Karachi pet stores & pet services

Show All