27/08/2015
EGG BINDING KIA HOTI HA
Jab female egg deti ha to us ke andar ke muscles phailtay or sukartay ha, agar ye amal theek se na ho sakay to egg nahi bahar aata or normally us female ki death ho jati ha
EGG BINDING KIS WAJHA SE HOTI HA
Feed me bohat se vitamins or minerals ki kami se ho jata ha, is ke ilawa calcium, vitamins D & E and selenium ki kami se bhi egg binding ho jata ha.
EGG BINDING SE KAISE BACHA JA SAKTA HA
Egg Binding me female egg lay nahi kar salti, Egg binding ziada tar un birds ko bhi ho jata ha jo apne birds ko feed tabdeel kar ke nahi detay yaani ek hi tarha ki feed ziada time tak detay rehtay ha. Jab birds feed change kar ke khata rehta ha to us ko agar ek feed se munasib minerals nahi miltay to wo doosri feed se wo vitamins and mineral hasil kar latay ha. (feed tabdeel kar ke khilanay ka matlab ye ha ke birds ko, kabhi sabzi yaani, paalak, loosan, meethi, kheera, or fruits me kabhi apple, orange, bair, or seeds me, white lobia, yellow chane ki daal, kale chane raat ko pani me bhigo ke subha dena chahye)
Umeed ha aap ko samajh aa g*i ho gi or ab aap ehtiyaat kare ge,
Dua me yaad rakhye ga